Sab se pehla niyat kare .
Main niyat karta hu 2 rakat namaz wajib eid ul fitar ki zahid 6 takbiro ke sath Waste Allah Ta'Ala Ke Peechhe Is Imaam Ke
muh Mera kaaba shareef ki taraf Allah o akbar
jab imam sahab takbir e tahreema karleen to phir unke pichhe
Allah –o-akbar
kahen .
Phir sana parheen jab imam sahab kahe
Allah-o-akbar
to dono hath Utha kar kano ki loh tak le ja kar chhorden phir dosare martaba jab imam sahab
allah o akbar
kahe to dono hath Utha kar kano ki loh tak leja kar chhorden .
phir jab imam sahab tesare martaba
Allah o akbar kahe to kano tak hath Utha kar bandh leen ab imam sahab surah fateha or koyi quran ki surah Tilawat Karenge
Phir jab imam sahab ruku main jahe to ruku kareen ishe tarah imam k picha sajdah karen
Phir imam k picha dosare rakat parna k liya khara ho jaye
Abb imam sahab surah fateha or quran ki koi surah Tilawat Karenge
jab imam sahab kahe
Allah o akbar
to hath kano ki loh tak le ja kar chhorden .
phir jab imam sahab dosari bar kahe
Allah o akbar
to hath kano tak leja kar chhorden .
phir imam sahab teesri bar kahe
Allah o akbar
to hath kano tak le ja kar chorden .
us k baad jab imam sahab kahe
Allah o akbar
to unke pichhe ruku main chalay jayen ishe tarah phir sajdah kareen or baki namaz complete kareen aam namazo ki tarah.
Namaaz Baad Khutba Sune.
Khutba Sunna Bhi Wajib Hai...
Allah pak hamari Namaz kubool farmaye......
No comments:
Post a Comment